Analysis of Mera haal ki lekar khabar nahi jata_|arun_khatauli
Mere haal ki lekar khabar nahi jata
Tere mulk tak mera kabootar nahi jata
Sarhado.n par masle itne uljhe hue hain
Iss paar se koi parinda udhar nahi jata
Tere sang baithna hai tujhse baat bhi karni hai
Afsos hai ke tere kaandhe tak sar nahi jata
Tere jism se moti naa koi tod le kambakht
Bas yahi mere dil se ek darr nahi jata
Iss ped ki chhanv mein rehna hai tab tak
Toot kar ek-ek patta iska bikhar nahi jata
January se aakar teri aas mein baitha hai
Mere kamre se uthkar december nahi jata
Ye jaankar ke sarhado.n par maara maari hai
Mere talwo.n ko chhod ke safar nahi jata
Yeh kahani yun hi chalti jab talak
Is kahani ka qatib mar nahi jata
- Arun Khatauli
Scheme | AA XA BA AA CA BA BA CA X |
---|---|
Poetic Form | |
Metre | 1111111 1111111 1111111 11111111 111111111 111111111 1111011101 1101111111 111111111 111111111 10011101111 111101011 11111111 11111111 1111111 1111111 11 |
Closest metre | Iambic hexameter |
Characters | 645 |
Words | 133 |
Sentences | 4 |
Stanzas | 9 |
Stanza Lengths | 2, 2, 2, 2, 2, 2, 2, 2, 1 |
Lines Amount | 17 |
Letters per line (avg) | 31 |
Words per line (avg) | 8 |
Letters per stanza (avg) | 59 |
Words per stanza (avg) | 14 |
Font size:
Citation
Use the citation below to add this poem analysis to your bibliography:
Style:MLAChicagoAPA
"Mera haal ki lekar khabar nahi jata_|arun_khatauli" Poetry.com. STANDS4 LLC, 2024. Web. 22 Nov. 2024. <https://www.poetry.com/poem-analysis/104800/mera-haal-ki-lekar-khabar-nahi-jata_%7Carun_khatauli>.
Discuss this Arun Khatauli poem analysis with the community:
Report Comment
We're doing our best to make sure our content is useful, accurate and safe.
If by any chance you spot an inappropriate comment while navigating through our website please use this form to let us know, and we'll take care of it shortly.
Attachment
You need to be logged in to favorite.
Log In